TikTok par gandi baat aur ashleel ishare karne ke mamle mei ek vyakti filhaal Police custody mei hai.
Assistant Commissioner of Police Crime, Loraini Seru ka kahena hai ki Police ko pata hai ki iss tarah ke kaam mei shaamil doosre log kaha hain aur unki talaash jaari hai.
ACP Seru ka kahena hai ki Police ke liye yeh bahut chinta ki baat hai ki kuch log internet aur social media ka galat istemaal karke kis had tak jaa rahe hai.
Unka kahena hai ki Police iss maamle ko bahut gambhirta se le rahi hai.
Filhaal, Police Commissioner Rusiate Tudravu sawaal utha rahe hai ki log iss tarah ka bartav kyu kar rahe hai aur unhe aisa karne ki himmat kaha se mil rahi hai.
Tudravu ne bataya hai ki Police ka kaam kanoon ko lagu karna hai, lekin samaaj ke logo ko bhi sochna chahiye ki ayesa kyu ho raha hai.